Hindi loris, lullabies, baby songs in Hindi

lullaby

Hindi lori/ lullaby 1


so jaa
so jaa raajkumaari so jaa
so jaa main balihaari so jaa
so jaa raajkumaari so jaa

so jaa mithe sapane aaen
sapanon men pee daras dikhaayen- 2
ud kar roopnagar men jaayen 2
roopnagar ki sakhiyaan aaen - 2
raajaaji maala pahanaayen- 2
choome maang tihaaree so jaa
so jaa raajkumaari so jaa


Hindi lori/ lullaby 2


dheere se aaja ri ankhiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
chhote se nainan ki bagiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja

o ...
lekar suhaane sapanon ki kaliyaan, sapanon ki kaliyaan
aake basa de palakon ki galiyaan, palakon ki galiyaan
palakon ki chhoti si galiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
dheere se ...

o ...
taaron se chhup kar taaron se choree, taaron se chori
deti hai rajani chanda ko loree, chanda ko lori
hansata hai chanda bhi nindiyan mein
nindiya aaja ri aajaa, dheere se aaja
dheere se ...

Hindi lori/ lullaby 3


huun
(aa ja ri nindiya tu aa ke na ja
nanhi si aankhon mein ghul-mil ja) - 2
aa ja ri nindiya

aa baag mein koyi kali jo chitake aankh isaki khul jaati hai
hawa se kah do dhire aaye - 2
nind kisi ko aati hai - 3

aa ja ri nindiya tu aa ke na ja
nanhi si aankhon mein ghul-mil ja
aa ja ri nindiya

suuraj ki tez dhuup hai duniya
subah sahe aur shaam nahin
dil ki kahaani kya kahiye
aagaaz to hai anjaam nahin

huuk si dil mein uthati hai - 2
jab yaad kisi ki aati hai
yaad kisi ki aati hai - 2

aa ja ri nindiya tu aa ke na ja
nanhi si aankhon mein ghul-mil ja
aa ja ri nindiya

Hindi lori/ lullaby 4


chandamama door ke
pue pakaye bhoor ke
aap khaye thali me
munne ko de pyali me

pyali gayi toot
munna gaya rooth
layaenge hum pyaliyan baja baja ke taliyan
munne ko manayenge ham dood malayi khayenge
chandamama...

udan khatole bhaith ke munna
chanda ke ghar jayega
taron ke sang ankh micholi khel ke dil behalayega
khel kud jab mere munne ka ji bhar jayega
thumak thumak mera munna vaapas ghar ko ayega
chandamama...

Please contribute more lullabies to indianhindunames.com in your language by mailing your contributions to [email protected].